Without the poetic prose of Sampooran Singh Kalra, or Gulzar Saab as you may know him, Bollywood would not have been the same. For many years, audiences have treasured Gulzar's sayings, poems, and Shayaris, making him one of India's most well-known and highly regarded authors. He is one of the select few musicians from India to have received the prestigious Academy Award for the song "Jai Ho" from the film Slumdog Millionaire. The list of awards and recognition he has won includes the Padma Bhushan, the Grammy, the Academy, and more. So, presenting you with an amazing collection of some melodious shayaris or wordings before you! Enjoy and have a pleasure time reading them!!
1. “Aane wala pal jane wala hai.
Ho sake toh isme, Zindagi bita do,
Pal jo yeh jaane wala hai.”
2. “Dil mein kuch jalta hai, Shayad dhuan dhuan sa lagta hai.
Aankh mein kuch Chubhta hai, Shayad sapna koi sulagta hai.”
3. “Aaina dekh kar Tasalli hui, Hamko is ghar mein jaanta hai koi.”
4. “Milta toh bahut kucch hai Iss Zindagi Mein. Bas hum Ginti usi ki karte hain, Jo haasil na ho saka.”
5. “Umr Kehti hai, Ab Sanjeeda hua jaaye, Dil Kehta hai, Kucch Nadaaniyaan aur sahi.”
6. “Aisi uljhi nazar unse hatt ti nahi,
Daant se reshmi dor katt ti nahi.
Umra kab ki baras ke safaid ho gayi;
Kaari badari jawani ki chattti nahi.”
7. “Shart lagi hai mar jaane ki
Jeena hai toh pyaar mein
Deh kahin bhi ho mera
Jaan rakhi hai yaar mein.”
8. “Jeene ke liye socha hi nahi. Dard sambhalne honge.
Muskuraaye toh muskuraane ke Karz utarne honge.”
9. “Taqleef khud hi kam ho gayi, Jab apno se umeed kam ho gayi.”
10. “Bahut andar tak jalaa deti hai, Woh shikaayatein jo bayaan nahi hoti.”
11. “Manzilein se Gumrah kar deta hain kucch Log.
Har kisi se Raasta poochna accha nahi hota.”
12. “Aaj ki raat yun thami si hai, Aaj phir aapki kami si hai.”
13. “Main uske roop ka shehdaai,
Vo dhoop chhanv se harjaai,
Vo shokh hai rang badalta hai,
Main rangroop ka saudaai.”
14. “Aansu jo rukne lage hain.
Aankhon mein chubhne lage hain
Naya dard do koi, toh ro lein.”
15. “Mein har raat sari Khwahishon ko khud se pehle sula deta hun,
Magar roz subah yeh mujhse pehle jaag jaati hain.”